ranj-o-huzn-o-malal na sain
rañj-o-huzn-o-malāl nā sā.īñ
koī merā kamāl nā sā.īñ
ik tire baa'd ho mire dil meñ
aur koī ḳhayāl nā sā.īñ
baḳht meñ hai tirī nazar to phir
baḳht meñ ho zavāl nā sā.īñ
bādshāhā tirī hai sardārī
maiñ karūñgī savāl nā sā.īñ
hai yaqīñ aap lauT ā.eñge
kab rahā ehtimāl nā sā.īñ
ab 'rabāb' ādat-e-aziyyat hai
maiñ rahūñ aur niDhāl nā sā.īñ
ranj-o-huzn-o-malal na sain
koi mera kamal na sain
ek tere ba'd ho mere dil mein
aur koi KHayal na sain
baKHt mein hai teri nazar to phir
baKHt mein ho zawal na sain
baadshaha teri hai sardari
main karungi sawal na sain
hai yaqin aap lauT aaenge
kab raha ehtimal na sain
ab 'rabab' aadat-e-aziyyat hai
main rahun aur niDhaal na sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.