ranj-o-rahat ke manazir hain zamane humse
ranj-o-rāhat ke manāzir haiñ zamāne ham se
naġhma ham se hai fuġhāñ ham se tarāne ham se
ham ne sachchā.ī se suulī ko atā kī azmat
ya.anī haq-goī ke zinda haiñ fasāne ham se
ye kudūrat ke pujārī ye ta.assub ke naqīb
aa ke le jaa.eñ mohabbat ke ḳhazāne ham se
ham ne bujhne na diye ishq-o-mohabbat ke charāġh
raushnī paa.ī hai duniyā-e-vafā ne ham se
apne siine meñ liye baiThe haiñ ḳhurshīd-jamāl
kyā milā.eñge nazar ā.ina-ḳhāne ham se
haram-o-dair se nākām palaTne vaale
pūchhte haiñ tire milne ke Thikāne ham se
sab hameñ kahte haiñ dīvāna-e-ulfat 'mūsā'
gulshan ābād haiñ sahrā haiñ suhāne ham se
ranj-o-rahat ke manazir hain zamane hum se
naghma hum se hai fughan hum se tarane hum se
hum ne sachchai se suli ko ata ki azmat
yani haq-goi ke zinda hain fasane hum se
ye kudurat ke pujari ye tassub ke naqib
aa ke le jaen mohabbat ke KHazane hum se
hum ne bujhne na diye ishq-o-mohabbat ke charagh
raushni pai hai duniya-e-wafa ne hum se
apne sine mein liye baiThe hain KHurshid-jamal
kya milaenge nazar aaina-KHane hum se
haram-o-dair se nakaam palaTne wale
puchhte hain tere milne ke Thikane hum se
sab hamein kahte hain diwana-e-ulfat 'musa'
gulshan aabaad hain sahra hain suhane hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.