ranj to meri chashm-e-tar mein hai
ranj to merī chashm-e-tar meñ hai
dard kaisā tire jigar meñ hai
tere isrār par hañsūñ kaise
merā har ġham tire nazar meñ hai
mil ga.iiñ sab ko manzileñ lekin
zindagī merī hī safar meñ hai
mere kirdār meñ nahīñ hai jafā
bevafā.ī tire hunar meñ hai
shahr-e-insāf jis ko kahte haiñ
merā qātil usī nagar meñ hai
vo samajhtā hai be-ḳhabar mujh ko
jo hamesha mirī nazar meñ hai
jis kī ḳhātir bhulā diyā ḳhud ko
vo abhī tak agar magar meñ hai
jab se aa.iiñ hai beTiyāñ 'raunaq'
tab se barakat hī mere ghar meñ hai
ranj to meri chashm-e-tar mein hai
dard kaisa tere jigar mein hai
tere israr par hansun kaise
mera har gham tere nazar mein hai
mil gain sab ko manzilen lekin
zindagi meri hi safar mein hai
mere kirdar mein nahin hai jafa
bewafai tere hunar mein hai
shahr-e-insaf jis ko kahte hain
mera qatil usi nagar mein hai
wo samajhta hai be-KHabar mujh ko
jo hamesha meri nazar mein hai
jis ki KHatir bhula diya KHud ko
wo abhi tak agar magar mein hai
jab se aain hai beTiyan 'raunaq'
tab se barakat hi mere ghar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.