ranjish thi bichhaDne ka irada to nahin tha
ranjish thī bichhaḌne kā irāda to nahīñ thā
pahle jo huā us kā i’āda to nahīñ thā
pahle bhī bichhaḌne kā anā.eñ hī sabab thiiñ
rishtoñ meñ anāoñ kā ifāda to nahīñ thā
jaate hue maiñ ne use rokā bhī nahīñ thā
dil tang thā itnā bhī kushāda to nahīñ thā
sochā thā ki taḌpegī judā.ī meñ vo merī
maiñ ḳhāk-nashīñ huuñ parī-zāda to nahīñ thā
dil ranj meñ Duubā hai kahīñ chain nahīñ hai
dil ranj pe maa.il bhī ziyāda to nahīñ thā
rishtoñ meñ vo uljhan thī sulajh hī nahīñ paa.e
ye kaam koī itnā bhī saada to nahīñ thā
ranjish thi bichhaDne ka irada to nahin tha
pahle jo hua us ka i’ada to nahin tha
pahle bhi bichhaDne ka anaen hi sabab thin
rishton mein anaon ka ifada to nahin tha
jate hue main ne use roka bhi nahin tha
dil tang tha itna bhi kushada to nahin tha
socha tha ki taDpegi judai mein wo meri
main KHak-nashin hun pari-zada to nahin tha
dil ranj mein Duba hai kahin chain nahin hai
dil ranj pe mail bhi ziyaada to nahin tha
rishton mein wo uljhan thi sulajh hi nahin pae
ye kaam koi itna bhi sada to nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.