ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai
ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai
Mahendra Partap Chand
MORE BYMahendra Partap Chand
ranjishoñ ne jazba-e-iḳhlās garmāyā bhī hai
dostī meñ ham ne kuchh khoyā hai kuchh paayā bhī hai
ik zarā sī baat par kyuuñ kar ta.alluq toḌ duuñ
vo purānā yaar bhī hai merā ham-sāya bhī hai
is taraf dekhā to hai be-shak hiqārat se sahī
shukr hai itnā karam to is ne farmāyā bhī hai
yuuñ to kuchh qīmat nahīñ jins-e-vafā kī haañ magar
jis qadar arzāñ hai ye itnī garāñ-māya bhī hai
sair phir bhī ho nahīñ paayā dil-e-īzā-talab
vaqt ne jī bhar ke go us par sitam Dhāyā bhī hai
hijr kī shab aur yādoñ kī surūr-āgīñ phuvār
kuchh to dil kī be-qarārī ko qarār aayā bhī hai
laakh maujoñ kī balā-ḳhezī ne kī khilvāḌ bhī
us ne kashtī ko magar sāhil pe pahuñchāyā bhī hai
phir bhī yārab kyā milegā hāsidoñ ke shahr meñ
taaj to shohrat kā tū ne mujh ko pahnāyā bhī hai
kyuuñ na 'chāñd' apnī anā ko jaan se rakhūñ aziiz
ye mirā īmān bhī hai merā sarmāya bhī hai
ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai
dosti mein hum ne kuchh khoya hai kuchh paya bhi hai
ek zara si baat par kyun kar talluq toD dun
wo purana yar bhi hai mera ham-saya bhi hai
is taraf dekha to hai be-shak hiqarat se sahi
shukr hai itna karam to is ne farmaya bhi hai
yun to kuchh qimat nahin jins-e-wafa ki han magar
jis qadar arzan hai ye itni garan-maya bhi hai
sair phir bhi ho nahin paya dil-e-iza-talab
waqt ne ji bhar ke go us par sitam Dhaya bhi hai
hijr ki shab aur yaadon ki surur-agin phuwar
kuchh to dil ki be-qarari ko qarar aaya bhi hai
lakh maujon ki bala-KHezi ne ki khilwaD bhi
us ne kashti ko magar sahil pe pahunchaya bhi hai
phir bhi yarab kya milega hasidon ke shahr mein
taj to shohrat ka tu ne mujh ko pahnaya bhi hai
kyun na 'chand' apni ana ko jaan se rakhun aziz
ye mera iman bhi hai mera sarmaya bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.