raqīb-e-nafs kā mukh moḌtā rah
havā aur hirs ke ta.iiñ toḌtā rah
uThā sañg-e-riyāzat dast-e-dil suuñ
sadā shīshe ko tan ke toḌtā rah
shujā.at saath le kar zikr kā teġh
saḌak ġhaflat ke dil par chhoḌtā rah
lagāyā hai agar rishta prit kā
nazar ke silsile suuñ joḌtā rah
'alīmullāh' hove ek dam duur
ye bad-ḳhaslat ko yak yak toḌtā rah
raqib-e-nafs ka mukh moDta rah
hawa aur hirs ke tain toDta rah
uTha sang-e-riyazat dast-e-dil sun
sada shishe ko tan ke toDta rah
shujaat sath le kar zikr ka tegh
saDak ghaflat ke dil par chhoDta rah
lagaya hai agar rishta prit ka
nazar ke silsile sun joDta rah
'alimullah' howe ek dam dur
ye bad-KHaslat ko yak yak toDta rah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.