raqibon ko hamrah lana na chhoDa
raqīboñ ko hamrāh laanā na chhoḌā
na chhoḌā mirā jī jalānā na chhoḌā
balā.eñ hī le le ke kaaTī shab-e-vasl
sitamgār ne muñh chhupānā na chhoḌā
vo kahte haiñ le ab to sone de mujh ko
koī dil meñ armāñ purānā na chhoḌā
vo siine se lipTe rahe go shab-e-vasl
dil-e-zār ne tilmilānā na chhoḌā
mohabbat ke bartāo sab chhoḌ baiThe
magar haañ satānā jalānā na chhoḌā
raqibon ko hamrah lana na chhoDa
na chhoDa mera ji jalana na chhoDa
balaen hi le le ke kaTi shab-e-wasl
sitamgar ne munh chhupana na chhoDa
wo kahte hain le ab to sone de mujh ko
koi dil mein arman purana na chhoDa
wo sine se lipTe rahe go shab-e-wasl
dil-e-zar ne tilmilana na chhoDa
mohabbat ke bartao sab chhoD baiThe
magar han satana jalana na chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.