raqs-e-bismil ki mere dil ko ada bhi aae
raqs-e-bismil kī mire dil ko adā bhī aa.e
mujh se bichhaḌo to taḌapne kā mazā bhī aa.e
ālam-e-habs hai kuchh ThanDī havā bhī aa.e
yaad aise meñ tirī koī vafā bhī aa.e
chand lamhoñ ko haTā apnī anā ke parde
khiḌkiyāñ khol to kuchh taaza havā bhī aa.e
ab kahāñ se tumheñ lauTā.eñ tumhāre vo ḳhutūt
ham to kab kā unheñ dariyā meñ bahā bhī aa.e
raqs-e-bismil ki mere dil ko ada bhi aae
mujh se bichhaDo to taDapne ka maza bhi aae
aalam-e-habs hai kuchh ThanDi hawa bhi aae
yaad aise mein teri koi wafa bhi aae
chand lamhon ko haTa apni ana ke parde
khiDkiyan khol to kuchh taza hawa bhi aae
ab kahan se tumhein lauTaen tumhaare wo KHutut
hum to kab ka unhen dariya mein baha bhi aae
- Book : Khwab Aasmano ke (Pg. 39)
- Author : Javed Nasimi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.