raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai
raqs-e-hastī ke phisal jaane kā andesha hai
baaġh hāthoñ se nikal jaane kā andesha hai
ab to vo sur bhī lagtā hai hamārā mutrib
raag jis sur pe badal jaane kā andesha hai
raat ko ḳhauf mirā chāñd koī chhīn na le
chāñd ko raat ke Dhal jaane kā andesha hai
buuñd bhar tel bachā hai to diyā gul kar do
varna bastī ke bhī jal jaane kā andesha hai
us kā apnā koī aa jā.egā le jā.egā
aaj ruk jaa.e to kal jaane kā andesha hai
is zamīñ par bhī lagā leñge koī peḌ ustād
haath se ye bhī ġhazal jaane kā andesha hai
raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai
bagh hathon se nikal jaane ka andesha hai
ab to wo sur bhi lagta hai hamara mutrib
rag jis sur pe badal jaane ka andesha hai
raat ko KHauf mera chand koi chhin na le
chand ko raat ke Dhal jaane ka andesha hai
bund bhar tel bacha hai to diya gul kar do
warna basti ke bhi jal jaane ka andesha hai
us ka apna koi aa jaega le jaega
aaj ruk jae to kal jaane ka andesha hai
is zamin par bhi laga lenge koi peD ustad
hath se ye bhi ghazal jaane ka andesha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.