raqs-e-ilham kar raha hun
raqs-e-ilhām kar rahā huuñ
maiñ jism kalām kar rahā huuñ
merī hai jo ḳhaas apnī miTTī
us ḳhaas ko aam kar rahā huuñ
ik mushkil-e-saḳht aa paḌī hai
ik sub.h ko shaam kar rahā huuñ
duniyā se kaho zarā sā Thahre
is vaqt ārām kar rahā huuñ
chup-chāp paḌā huā huuñ ghar meñ
aur shahr meñ naam kar rahā huuñ
miTTī ko palaT rahā huuñ apnī
puḳhta ko ḳhaam kar rahā huuñ
kyā kaam hai jānñā hai mujh ko
ik sirf ye kaam kar rahā huuñ
be-rabtī-e-jism-o-jāñ fuzūñ-tar
tauhīn-e-nizām kar rahā huuñ
ḳhushbū-e-ḳhudā lagā ke ḳhud par
maz.hab ko harām kar rahā huuñ
īmān ne kuchh sunī na merī
so kufr pe kaam kar rahā huuñ
allāh-miyāñ ke mashvare se
tark-e-islām kar rahā huuñ
ai zindabād farhat-ehsās
maiñ tujh ko salām kar rahā huuñ
raqs-e-ilham kar raha hun
main jism kalam kar raha hun
meri hai jo KHas apni miTTi
us KHas ko aam kar raha hun
ek mushkil-e-saKHt aa paDi hai
ek subh ko sham kar raha hun
duniya se kaho zara sa Thahre
is waqt aaram kar raha hun
chup-chap paDa hua hun ghar mein
aur shahr mein nam kar raha hun
miTTi ko palaT raha hun apni
puKHta ko KHam kar raha hun
kya kaam hai jaanna hai mujh ko
ek sirf ye kaam kar raha hun
be-rabti-e-jism-o-jaan fuzun-tar
tauhin-e-nizam kar raha hun
KHushbu-e-KHuda laga ke KHud par
mazhab ko haram kar raha hun
iman ne kuchh suni na meri
so kufr pe kaam kar raha hun
allah-miyan ke mashware se
tark-e-islam kar raha hun
ai zindabaad farhat-ehsas
main tujh ko salam kar raha hun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 81)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.