raqs karna tera kis ne dekha yahan ye hawa aur hai wo faza aur thi
raqs karna tera kis ne dekha yahan ye hawa aur hai wo faza aur thi
Iqbal Khawar
MORE BYIqbal Khawar
raqs karnā tirā kis ne dekhā yahāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
ai mirī sarḳhushī vahshat-e-jism-o-jāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
is galī us galī mujh ko le kar phire ab vo vahshat nahīñ ab vo hālat nahīñ
hai dhḌaknā ajab mere dil kā yahāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
vasl likhtī thī pahle havā jism par ḳhvāb bunñā yahāñ kaam thā aañkh kā
maiñ ne maanā magar ai dil-e-ḳhush-gumāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
maiñ bhī vaisā nahīñ tum bhī vaise nahīñ ḳhush rakhe dil ko jo ab vo manzar nahīñ
kuchh nahīñ kuchh nahīñ pahle jaisā yahāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
aur dekheñ tirā kab talak rāsta aas bujhne lagī dil ulajhne lagā
bhuul jaa.eñ na ham aa mirī jān-e-jāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
vo mohabbat nahīñ ab vo qurbat nahīñ kuchh kaheñ kuchh suneñ dil kī bāteñ kareñ
koī aisā nahīñ ab dil-e-mehrbāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
mausam-e-gul kī laa.e ḳhizāñ ab ḳhabar ab ye imkāñ nahīñ ab vo mausam ki hai
har qadam rā.egāñ har nafas rā.egāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
hai junūñ-ḳhez dil aaj bhī raqs meñ ishq karnā use aaj bhī yaad hai
yaar 'ḳhāvar' kahāñ vo saf-e-dil-barāñ ye havā aur hai vo fazā aur thī
raqs karna tera kis ne dekha yahan ye hawa aur hai wo faza aur thi
ai meri sarKHushi wahshat-e-jism-o-jaan ye hawa aur hai wo faza aur thi
is gali us gali mujh ko le kar phire ab wo wahshat nahin ab wo haalat nahin
hai dhDakna ajab mere dil ka yahan ye hawa aur hai wo faza aur thi
wasl likhti thi pahle hawa jism par KHwab bunna yahan kaam tha aankh ka
main ne mana magar ai dil-e-KHush-guman ye hawa aur hai wo faza aur thi
main bhi waisa nahin tum bhi waise nahin KHush rakhe dil ko jo ab wo manzar nahin
kuchh nahin kuchh nahin pahle jaisa yahan ye hawa aur hai wo faza aur thi
aur dekhen tera kab talak rasta aas bujhne lagi dil ulajhne laga
bhul jaen na hum aa meri jaan-e-jaan ye hawa aur hai wo faza aur thi
wo mohabbat nahin ab wo qurbat nahin kuchh kahen kuchh sunen dil ki baaten karen
koi aisa nahin ab dil-e-mehrban ye hawa aur hai wo faza aur thi
mausam-e-gul ki lae KHizan ab KHabar ab ye imkan nahin ab wo mausam ki hai
har qadam raegan har nafas raegan ye hawa aur hai wo faza aur thi
hai junun-KHez dil aaj bhi raqs mein ishq karna use aaj bhi yaad hai
yar 'KHawar' kahan wo saf-e-dil-baran ye hawa aur hai wo faza aur thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.