raqs karta hai jahan tasir mein
raqs kartā hai jahāñ tāsīr meñ
dhun hai aisī halqa-e-zanjīr meñ
kāTtā hai vo chaTāneñ umr bhar
Duub jaatī huuñ maiñ jū-e-shīr meñ
ab añdheroñ se kaho ruḳh moḌ leñ
aa gayā sūraj mirī taqdīr meñ
vaqt kī dahlīz par Thahrā huā
qaid hai lamha koī tasvīr meñ
vo mirī āñkhoñ meñ aatā hī nahīñ
tum nahīñ jis ḳhvāb kī ta.abīr meñ
dard miirā kā utar kar aa gayā
ishq ke chubhte hue ik tiir meñ
mere lahje meñ hai ḳhushbū 'sāhiba'
shoḳhī-e-gul khultī hai tafsīr meñ
raqs karta hai jahan tasir mein
dhun hai aisi halqa-e-zanjir mein
kaTta hai wo chaTanen umr bhar
Dub jati hun main ju-e-shir mein
ab andheron se kaho ruKH moD len
aa gaya suraj meri taqdir mein
waqt ki dahliz par Thahra hua
qaid hai lamha koi taswir mein
wo meri aankhon mein aata hi nahin
tum nahin jis KHwab ki tabir mein
dard mera ka utar kar aa gaya
ishq ke chubhte hue ek tir mein
mere lahje mein hai KHushbu 'sahiba'
shoKHi-e-gul khulti hai tafsir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.