raqs karte hain meri aankh mein manzar kya kya
raqs karte haiñ mirī aañkh meñ manzar kyā kyā
dekhtā rahtā huuñ maiñ ḳhvāb ke bāhar kyā kyā
vaqt zālim ne bhulā diiñ hameñ kaisī bāteñ
haa.e maazī ke ḳhazīne meñ the gauhar kyā kyā
ik tire naam kā aanā thā zabāñ par aur bas
ham pe barse haiñ har ik samt se patthar kyā kyā
ghar se bāhar ko nikalnā bhī to ghar aanā bhī
din guzarte haiñ mire rañj uThā kar kyā kyā
ab jo aa pahuñche haiñ tujh tak to nahīñ kahte ham
raah meñ khaa.ī hai ushshāq ne Thokar kyā kyā
ek arsa huā dekhā hī nahīñ us jānib
jaane tabdīl huā hai mire bhītar kyā kyā
jaane kyā kaifiyyat-e-dil hai hamārī imroz
naam rakkhe haiñ junūñ kaif badal kar kyā kyā
raqs karte hain meri aankh mein manzar kya kya
dekhta rahta hun main KHwab ke bahar kya kya
waqt zalim ne bhula din hamein kaisi baaten
hae mazi ke KHazine mein the gauhar kya kya
ek tere nam ka aana tha zaban par aur bas
hum pe barse hain har ek samt se patthar kya kya
ghar se bahar ko nikalna bhi to ghar aana bhi
din guzarte hain mere ranj uTha kar kya kya
ab jo aa pahunche hain tujh tak to nahin kahte hum
rah mein khai hai ushshaq ne Thokar kya kya
ek arsa hua dekha hi nahin us jaanib
jaane tabdil hua hai mere bhitar kya kya
jaane kya kaifiyyat-e-dil hai hamari imroz
nam rakkhe hain junun kaif badal kar kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.