raqs karte jhumte aur jalte parwane mile
raqs karte jhūmte aur jalte parvāne mile
muskurāte maut ke saa.e meñ dīvāne mile
ahl-e-dil chalne lage jab bhī sū-e-dair-o-haram
muntazir us raah meñ har baar maiḳhāne mile
daur-e-māzī jab charāġh-e-yād se raushan huā
vaqt kī khultī huī har tah meñ afsāne mile
bhuul kar āzār-e-dil hairat meñ patthar ho ga.e
dushmanoñ ke bhes meñ jab jāne-pahchāne mile
ibtidā-e-ishq meñ sarsabz bāġhāt-e-ḳhayāl
intihā-e-ishq meñ ābād dohrāne mile
ālam-e-dīvāngī meñ aa gayā aisā maqām
tū hī tū aayā nazar jab apne begāne mile
kaun se fikr-o-tasavvur meñ piyā karte haiñ 'shauq'
rañg meñ Duube hue sab jām-o-paimāne mile
raqs karte jhumte aur jalte parwane mile
muskuraate maut ke sae mein diwane mile
ahl-e-dil chalne lage jab bhi su-e-dair-o-haram
muntazir us rah mein har bar maiKHane mile
daur-e-mazi jab charagh-e-yaad se raushan hua
waqt ki khulti hui har tah mein afsane mile
bhul kar aazar-e-dil hairat mein patthar ho gae
dushmanon ke bhes mein jab jaane-pahchane mile
ibtida-e-ishq mein sarsabz baghat-e-KHayal
intiha-e-ishq mein aabaad dohrane mile
aalam-e-diwangi mein aa gaya aisa maqam
tu hi tu aaya nazar jab apne begane mile
kaun se fikr-o-tasawwur mein piya karte hain 'shauq'
rang mein Dube hue sab jam-o-paimane mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.