raqs meñ jab bhī jaam aate haiñ
rāhatoñ ke payām aate haiñ
ġham kī daulat sañbhāl kar rakkho
ġham bhī ulfat meñ kaam aate haiñ
TuuT jaatī hai ḳhud-ba-ḳhud tauba
jab bhī lamhāt-e-shām aate haiñ
muskurāte haiñ phuul ḳhush ho kar
kaun ye ḳhush-ḳhirām aate haiñ
bevafā.ī kā zikr sun sun kar
lab pe yāroñ ke naam aate haiñ
shaiḳh piitā nahīñ magar us ko
mai kī qismoñ ke naam aate haiñ
jab bhī aate haiñ mere hoñToñ par
mahvashoñ hī ke naam aate haiñ
mā’badoñ meñ bhī mujh ko ai 'ābid'
mai-kadoñ se salām aate haiñ
raqs mein jab bhi jam aate hain
rahaton ke payam aate hain
gham ki daulat sanbhaal kar rakkho
gham bhi ulfat mein kaam aate hain
TuT jati hai KHud-ba-KHud tauba
jab bhi lamhat-e-sham aate hain
muskuraate hain phul KHush ho kar
kaun ye KHush-KHiram aate hain
bewafai ka zikr sun sun kar
lab pe yaron ke nam aate hain
shaiKH pita nahin magar us ko
mai ki qismon ke nam aate hain
jab bhi aate hain mere honTon par
mahwashon hi ke nam aate hain
ma’badon mein bhi mujh ko ai 'abid'
mai-kadon se salam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.