raqsan hai munDer par kabutar
raqsāñ hai muñDer par kabūtar
dīvār sī gir rahī hai dil par
Tahnī pe ḳhamosh ik parinda
maazī ke ulaT rahā hai daftar
uḌte haiñ havā kī samt zarre
yādoñ ke chale haiñ lāv-lashkar
peḌoñ ke ghane muhīb saa.e
ye kaun hai mujh pe hamla-āvar
pattoñ meñ jhapak rahī haiñ āñkheñ
shāḳhoñ meñ chamak rahe haiñ ḳhanjar
ye kaun qarīb aa rahā hai
ḳhud mere hī naqsh-e-pā pe chal kar
ye kaun samā rahā hai mujh meñ
baiThā huā chup mirī barābar
ye kis kā tanaffus-e-pur-asrār
ye kis kā tabassum fusūñ-gar
ik karb sā ruuh par hai taarī
ik kaif sā chhā rahā hai dil par
raqsan hai munDer par kabutar
diwar si gir rahi hai dil par
Tahni pe KHamosh ek parinda
mazi ke ulaT raha hai daftar
uDte hain hawa ki samt zarre
yaadon ke chale hain law-lashkar
peDon ke ghane muhib sae
ye kaun hai mujh pe hamla-awar
patton mein jhapak rahi hain aankhen
shaKHon mein chamak rahe hain KHanjar
ye kaun qarib aa raha hai
KHud mere hi naqsh-e-pa pe chal kar
ye kaun sama raha hai mujh mein
baiTha hua chup meri barabar
ye kis ka tanaffus-e-pur-asrar
ye kis ka tabassum fusun-gar
ek karb sa ruh par hai tari
ek kaif sa chha raha hai dil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.