raqsan hua safina bhi pagal hawa ke sath
raqsāñ huā safīna bhī pāgal havā ke saath
Dūbeñge ham zarūr magar nāḳhudā ke saath
is daur-e-be-hisī meñ tirī ḳhāk-e-pā se ham
ilhāq māñgte haiñ tirī har razā ke saath
ashkoñ ke pairahan meñ yuuñ lipTī thī har ḳhushī
miltā rahā sukūn na.ī ik sazā ke saath
yārab mire vatan ke har ik ghar kī ḳhair ho
rahnā hai tā-hayāt hameñ yaañ vafā ke saath
shikve shikāyatoñ se bahut duur aa ga.e
milte haiñ har kisī se magar ham anā ke saath
dīvār-e-dil ke saa.e meñ baiThe haiñ jo sabhī
shāmil haiñ dhaḌkanoñ kī 'shabī' har sadā ke saath
raqsan hua safina bhi pagal hawa ke sath
Dubenge hum zarur magar naKHuda ke sath
is daur-e-be-hisi mein teri KHak-e-pa se hum
ilhaq mangte hain teri har raza ke sath
ashkon ke pairahan mein yun lipTi thi har KHushi
milta raha sukun nai ek saza ke sath
yarab mere watan ke har ek ghar ki KHair ho
rahna hai ta-hayat hamein yan wafa ke sath
shikwe shikayaton se bahut dur aa gae
milte hain har kisi se magar hum ana ke sath
diwar-e-dil ke sae mein baiThe hain jo sabhi
shamil hain dhaDkanon ki 'shabi' har sada ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.