ras un aankhon ke pas hota hai
ras un āñkhoñ ke paas hotā hai
dil to ḳhālī gilās hotā hai
tū to itnā hasīn hai ai dost
tū bhī itnā udaas hotā hai
ab hayā ko bhī oḌh kar dekho
ye bhī achchhā libās hotā hai
ai mujhe duur bhejne vaale
koī itnā bhī paas hotā hai
jaise ye pahlī ḳhud-kushī ho mirī
tū to aise udaas hotā hai
yuuñ hī maiñ chauñktā nahīñ yak-dam
koī to ās-pās hotā hai
ras un aankhon ke pas hota hai
dil to KHali gilas hota hai
tu to itna hasin hai ai dost
tu bhi itna udas hota hai
ab haya ko bhi oDh kar dekho
ye bhi achchha libas hota hai
ai mujhe dur bhejne wale
koi itna bhi pas hota hai
jaise ye pahli KHud-kushi ho meri
tu to aise udas hota hai
yun hi main chaunkta nahin yak-dam
koi to aas-pas hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.