rasai ka qarina aankh mein hai
rasā.ī kā qarīna aañkh meñ hai
zahe-qismat madīna aañkh meñ hai
maiñ tere shahr kī jānib ravāñ huuñ
sar-e-dariyā safīna aañkh meñ hai
tire dast-e-rasā meñ bāb-e-rahmat
shafā.at kā ḳhazīna aañkh meñ hai
na chaTḳhe dekhnā ye tishnagī se
talab kā ābgīna aañkh meñ hai
jilā de is ko apnī raushnī se
duāoñ kā nagīna aañkh meñ hai
rasai ka qarina aankh mein hai
zahe-qismat madina aankh mein hai
main tere shahr ki jaanib rawan hun
sar-e-dariya safina aankh mein hai
tere dast-e-rasa mein bab-e-rahmat
shafaat ka KHazina aankh mein hai
na chaTKHe dekhna ye tishnagi se
talab ka aabgina aankh mein hai
jila de is ko apni raushni se
duaon ka nagina aankh mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.