rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge
rashk-e-adū meñ dekho jaañ tak gañvā hī deñge
lo jhuuT jānte ho ik din dikhā hī deñge
āvāz kī tarah se baiTheñge aaj ai jaañ
dekheñ to aap kyuuñ kar ham ko uThā hī deñge
uḌ jā.ūñgā jahāñ se āshiq kā rañg ho kar
naqsh-e-qadam nahīñ huuñ jis ko miTā hī deñge
ġhairoñ kī justujū kī muddat se aarzū hai
ye yaad vo nahīñ hai jis ko bhulā hī deñge
sho.ale nikal rahe haiñ har ustuḳhvāñ se apnī
sham.eñ ye vo nahīñ haiñ jis ko bujhā hī deñge
ḳhāmosh guftugū haiñ afsurda aarzū haiñ
vo dil nahīñ hamārā jis ko hañsā hī deñge
us ḳhaak tak pahuñch kar phirnā 'nasīm' mushkil
huuñ ashk-ūftāda kyuuñ kar uThā hī deñge
rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge
lo jhuT jaante ho ek din dikha hi denge
aawaz ki tarah se baiThenge aaj ai jaan
dekhen to aap kyun kar hum ko uTha hi denge
uD jaunga jahan se aashiq ka rang ho kar
naqsh-e-qadam nahin hun jis ko miTa hi denge
ghairon ki justuju ki muddat se aarzu hai
ye yaad wo nahin hai jis ko bhula hi denge
shoale nikal rahe hain har ustuKHwan se apni
shamen ye wo nahin hain jis ko bujha hi denge
KHamosh guftugu hain afsurda aarzu hain
wo dil nahin hamara jis ko hansa hi denge
us KHak tak pahunch kar phirna 'nasim' mushkil
hun ashk-uftada kyun kar uTha hi denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.