rashk-e-firdaus chaman hai apna
rashk-e-firdaus chaman hai apnā
Hyderabad vatan hai apnā
nisbat-e-gor-o-kafan bejā hai
gor apnī na kafan hai apnā
ziist ko marg samajhte haiñ ham
pairahan hai so kafan hai apnā
jo vo kahtā hai vo ham kahte haiñ
dahan-e-yār dahan hai apnā
kyoñ na tauf-e-dar-e-mahbūb kareñ
ka.aba ai qibla-e-man hai apnā
rashk-e-firdaus chaman hai apna
Hyderabad watan hai apna
nisbat-e-gor-o-kafan beja hai
gor apni na kafan hai apna
zist ko marg samajhte hain hum
pairahan hai so kafan hai apna
jo wo kahta hai wo hum kahte hain
dahan-e-yar dahan hai apna
kyon na tauf-e-dar-e-mahbub karen
kaba ai qibla-e-man hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.