rashk-e-mahtāb hathelī pe mirī
aa girā ḳhvāb hathelī pe mirī
aaj Dhal jaao mirī āñkhoñ se
ashk-e-barfāb hathelī pe mirī
likh diye rab ne lakīroñ jaise
ġham ke asbāb hathelī pe mirī
kyā ḳhabar tum ko ki rahte haiñ yahāñ
chhāle betāb hathelī pe mirī
o mirī niiñd churāne vaale
rakh de kam-ḳhvāb hathelī pe mirī
kaa.ī sī jam ga.ī hai palkoñ par
Thahrā hai aab hathelī pe mirī
maiñ ne bolā thā faqat 'momī' se
tum ho nāyāb hathelī pe mirī
rashk-e-mahtab hatheli pe meri
aa gira KHwab hatheli pe meri
aaj Dhal jao meri aankhon se
ashk-e-barfab hatheli pe meri
likh diye rab ne lakiron jaise
gham ke asbab hatheli pe meri
kya KHabar tum ko ki rahte hain yahan
chhaale betab hatheli pe meri
o meri nind churane wale
rakh de kam-KHwab hatheli pe meri
kai si jam gai hai palkon par
Thahra hai aab hatheli pe meri
main ne bola tha faqat 'momi' se
tum ho nayab hatheli pe meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.