rasm-e-matam ko ada naz se karne wale
rasm-e-mātam ko adā naaz se karne vaale
ḳhush raheñ phuul mirī qabr pe karne vaale
jurm-e-ulfat ke sazā-vār hī Thahre 'ushshāq
kuchh na pūchhe ga.e mahshar meñ mukarne vaale
zulm kī ḳhū na chhuTe shauq-e-jafā bhī na miTe
ek Thokar sahī marqad pe guzarne vaale
ḳhud hī de dete haiñ baḌh kar vo ajal ko paiġhām
maut kī raah nahīñ dekhte marne vaale
vā’da-e-dīd pe 'rāfat' ko ho kis tarh yaqīñ
tum to har vaqt ho kah kah ke mukarne vaale
rasm-e-matam ko ada naz se karne wale
KHush rahen phul meri qabr pe karne wale
jurm-e-ulfat ke saza-war hi Thahre 'ushshaq
kuchh na puchhe gae mahshar mein mukarne wale
zulm ki KHu na chhuTe shauq-e-jafa bhi na miTe
ek Thokar sahi marqad pe guzarne wale
KHud hi de dete hain baDh kar wo ajal ko paigham
maut ki rah nahin dekhte marne wale
wa’da-e-did pe 'rafat' ko ho kis tarh yaqin
tum to har waqt ho kah kah ke mukarne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.