rasm hoti hai meri ab bhi ada mere baad
rasm hotī hai mirī ab bhī adā mere baa'd
ḳhaak uḌātī hai bayābāñ meñ sabā mere baa'd
ishq ko mere junūñ kah ke navāzā tum ne
haa.e rusvā mujhe kyā kyā na kiyā mere baa'd
ab mirī tarah kise khīñch ke shāmat laa.ī
kaun hai hāsil-e-be-dād-o-jafā mere baa'd
abr to chhāte haiñ mai-ḳhāne pe ab bhī lekin
lutf mādūm mukaddar hai fazā mere baa'd
mere jaate hī gulistāñ pe udāsī chhā.ī
phuul to phuul haiñ sabza na ugā mere baa'd
pūchhne vaalā hī thā kaun jahāñ meñ 'tālib'
naam bhī miT gayā achchhā hī huā mere baa'd
rasm hoti hai meri ab bhi ada mere ba'd
KHak uDati hai bayaban mein saba mere ba'd
ishq ko mere junun kah ke nawaza tum ne
hae ruswa mujhe kya kya na kiya mere ba'd
ab meri tarah kise khinch ke shamat lai
kaun hai hasil-e-be-dad-o-jafa mere ba'd
abr to chhate hain mai-KHane pe ab bhi lekin
lutf madum mukaddar hai faza mere ba'd
mere jate hi gulistan pe udasi chhai
phul to phul hain sabza na uga mere ba'd
puchhne wala hi tha kaun jahan mein 'talib'
nam bhi miT gaya achchha hi hua mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.