rasta bhaTak na jaen tere naqsh-e-pa se hum
rasta bhaTak na jaa.eñ tire naqsh-e-pā se ham
ham se judā ḳhudā ho judā hoñ ḳhudā se ham
dast-e-duā buland haiñ sū-e-falak magar
vāqif nahīñ haiñ aaj bhī harf-e-duā se ham
ham haiñ marīz-e-ishq hameñ yaar chāhiye
achchhe na ho sakeñge tabībo davā se ham
jhuk kar salām karte haiñ pardā-nashīn ko
karte nahīñ kalām kisī be-ridā se ham
sah-roz bhūk-pyās meñ sābit qadam rahe
ho kar shahīd haare na jaur-o-jafā se ham
gūñdhā gayā turāb ko ātish ke chaak par
aa.e haqīqī shakl meñ āb-o-havā se ham
chāroñ taraf se ghere hue hai yazīdiyat
tanhā khaḌe haiñ ran meñ faqat karbalā se ham
nazreñ milā na pā.egī ham se koī ḳhushī
itnā qarīb ho ga.e āh-o-bukā se ham
saaqī se pūchiyegā hamārī haqīqateñ
dikhte haiñ sirf haiñ nahīñ sūfī-numā se ham
bachpan se paḌh rahe haiñ 'anīs'-o-'dabīr' ko
'mehvar' suḳhan-shanās rahe ibtidā se ham
rasta bhaTak na jaen tere naqsh-e-pa se hum
hum se juda KHuda ho juda hon KHuda se hum
dast-e-dua buland hain su-e-falak magar
waqif nahin hain aaj bhi harf-e-dua se hum
hum hain mariz-e-ishq hamein yar chahiye
achchhe na ho sakenge tabibo dawa se hum
jhuk kar salam karte hain parda-nashin ko
karte nahin kalam kisi be-rida se hum
sah-roz bhuk-pyas mein sabit qadam rahe
ho kar shahid haare na jaur-o-jafa se hum
gundha gaya turab ko aatish ke chaak par
aae haqiqi shakl mein aab-o-hawa se hum
chaaron taraf se ghere hue hai yazidiyat
tanha khaDe hain ran mein faqat karbala se hum
nazren mila na paegi hum se koi KHushi
itna qarib ho gae aah-o-buka se hum
saqi se puchiyega hamari haqiqaten
dikhte hain sirf hain nahin sufi-numa se hum
bachpan se paDh rahe hain 'anis'-o-'dabir' ko
'mehwar' suKHan-shanas rahe ibtida se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.