rasta bhi koi hum ko sujhai nahin deta
rasta bhī koī ham ko sujhā.ī nahīñ detā
aur dil bhī hameñ rāhnumā.ī nahīñ detā
tūfān umaD aate haiñ har samt yakāyak
chāhat ko to dariyā bhī rasā.ī nahīñ detā
hairān na ho girya-kunāñ dekh ke ham ko
hai kaun jo ġham sah ke duhā.ī nahīñ detā
ai shiddat-e-ehsās na kar aur pareshāñ
is shahr ke hākim ko sunā.ī nahīñ detā
'tasnīm' ab aise kā gila kis se kareñ jo
apnā to hai par apnā dikhā.ī nahīñ detā
rasta bhi koi hum ko sujhai nahin deta
aur dil bhi hamein rahnumai nahin deta
tufan umaD aate hain har samt yakayak
chahat ko to dariya bhi rasai nahin deta
hairan na ho girya-kunan dekh ke hum ko
hai kaun jo gham sah ke duhai nahin deta
ai shiddat-e-ehsas na kar aur pareshan
is shahr ke hakim ko sunai nahin deta
'tasnim' ab aise ka gila kis se karen jo
apna to hai par apna dikhai nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.