rasta koi mear se haT kar nahin dekha
rasta koī me.aar se haT kar nahīñ dekhā
qāmat se kisī saa.e ke ghaT kar nahīñ dekhā
dīvār-e-anā se thiiñ pare us kī sadā.eñ
patthar hue par ham ne palaT kar nahīñ dekhā
kyā jaane kisī pyāse ke kaam aane kī rāhat
kuuze meñ samundar ne simaT kar nahīñ dekhā
har shahr ko ik zid sī rahī ghar na banā paa.eñ
kis shahr ke dāman se lipaT kar nahīñ dekhā
ehsās ko miltī nahīñ iz.hār kī ḳhil.at
lafzoñ kī agar dhaar pe kaT kar nahīñ dekhā
rasta koi mear se haT kar nahin dekha
qamat se kisi sae ke ghaT kar nahin dekha
diwar-e-ana se thin pare us ki sadaen
patthar hue par hum ne palaT kar nahin dekha
kya jaane kisi pyase ke kaam aane ki rahat
kuze mein samundar ne simaT kar nahin dekha
har shahr ko ek zid si rahi ghar na bana paen
kis shahr ke daman se lipaT kar nahin dekha
ehsas ko milti nahin izhaar ki KHilat
lafzon ki agar dhaar pe kaT kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.