rasta takte takte ek din patthar ho jaenge
rasta takte takte ik din patthar ho jā.eñge
mai se katrāte katrāte sāġhar ho jā.eñge
pyāse haiñ āñkhoñ meñ jugnū aur aisā bhī hogā
ḳhaak pe utre to ye jugnū sāgar ho jā.eñge
tab dil kī dahlīz ko chhūne ā.eñge vo paañv
jab andar ke saare ḳhitte banjar ho jā.eñge
aglī umr ke bhāñpne tak tū jaane kyā ho jaa.e
ham tum jaatī rut kā koī manzar ho jā.eñge
aañkh kī naav meñ baiTh ke sair ko jaane vaale
beach safar meñ ġharq-e-samundar ho jā.eñge
rasta takte takte ek din patthar ho jaenge
mai se katraate katraate saghar ho jaenge
pyase hain aankhon mein jugnu aur aisa bhi hoga
KHak pe utre to ye jugnu sagar ho jaenge
tab dil ki dahliz ko chhune aaenge wo panw
jab andar ke sare KHitte banjar ho jaenge
agli umr ke bhanpne tak tu jaane kya ho jae
hum tum jati rut ka koi manzar ho jaenge
aankh ki naw mein baiTh ke sair ko jaane wale
beach safar mein gharq-e-samundar ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.