raste ka dard aap ghubaron se puchhiye
raste kā dard aap ġhubāroñ se pūchhiye
lahroñ kī kyā ghuTan hai kināroñ se pūchhiye
sunte to aa rahe haiñ barābar sabhī kā haq
patjhaḌ yahāñ pe kyoñ hai bahāroñ se pūchhiye
siine pe kitne sang liye jā rahī hai vo
ye pālkī uThā.e kahāroñ se pūchhiye
ab is tarah ḳhamosh rahā jaa.e kab talak
ye baat sochiye to ishāroñ se pūchhiye
'animesh' jin se zindagī ho aur lā-javāb
mat vo savāl dard ke māroñ se pūchhiye
raste ka dard aap ghubaron se puchhiye
lahron ki kya ghuTan hai kinaron se puchhiye
sunte to aa rahe hain barabar sabhi ka haq
patjhaD yahan pe kyon hai bahaaron se puchhiye
sine pe kitne sang liye ja rahi hai wo
ye palki uThae kahaaron se puchhiye
ab is tarah KHamosh raha jae kab talak
ye baat sochiye to ishaaron se puchhiye
'animesh' jin se zindagi ho aur la-jawab
mat wo sawal dard ke maron se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.