raste kitna thak jate hain
raste kitnā thak jaate haiñ
phir bhī manzil tak jaate haiñ
pattoñ ko ārām nahīñ hai
kaan havā ke pak jaate haiñ
lamhoñ ko āsān na lenā
lamhe sadiyāñ faq jaate haiñ
ek taraf se tum aate ho
chāroñ or dhaḌak jaate haiñ
ek mo.attar yaad ke jhoñke
taaza lams chhiḌak jaate haiñ
qadmoñ kī aadat hai yūñhī
sū-e-yār sarak jaate haiñ
jaane do logoñ kī bāteñ
kuchh bhī aa kar bak jaate haiñ
rasta gar bhī shart nahīñ hai
raste aap bhaTak jaate haiñ
āñkheñ chaukhaT ho jaatī haiñ
mausam be-dastak jaate haiñ
raste kitna thak jate hain
phir bhi manzil tak jate hain
patton ko aaram nahin hai
kan hawa ke pak jate hain
lamhon ko aasan na lena
lamhe sadiyan faq jate hain
ek taraf se tum aate ho
chaaron or dhaDak jate hain
ek moattar yaad ke jhonke
taza lams chhiDak jate hain
qadmon ki aadat hai yunhi
su-e-yar sarak jate hain
jaane do logon ki baaten
kuchh bhi aa kar bak jate hain
rasta gar bhi shart nahin hai
raste aap bhaTak jate hain
aankhen chaukhaT ho jati hain
mausam be-dastak jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.