raste mein jitne peD mile be-sada mile
raste mein jitne peD mile be-sada mile
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
raste meñ jitne peḌ mile be-sadā mile
ghar se nikal paḌe the ki taaza havā mile
insān kī talāsh hai rabb-e-karīm ko
insāñ kī aarzū hai kahīñ par ḳhudā mile
jo shaḳhs lamha lamha tajassus ke bāvajūd
ḳhud se na mil sakā ho zamāne se kyā mile
ye zindagī kuchh aise mire haath aa ga.ī
jaise kisī faqīr ko sikka paḌā mile
dhartī ne āñsuoñ ko pukārā hai dosto
bādal tamām ab ke samundar se jā mile
har baar usī se ek nayā ishq kījiye
jab bhī mile vo shaḳhs to badlā huā mile
raste mein jitne peD mile be-sada mile
ghar se nikal paDe the ki taza hawa mile
insan ki talash hai rabb-e-karim ko
insan ki aarzu hai kahin par KHuda mile
jo shaKHs lamha lamha tajassus ke bawajud
KHud se na mil saka ho zamane se kya mile
ye zindagi kuchh aise mere hath aa gai
jaise kisi faqir ko sikka paDa mile
dharti ne aansuon ko pukara hai dosto
baadal tamam ab ke samundar se ja mile
har bar usi se ek naya ishq kijiye
jab bhi mile wo shaKHs to badla hua mile
- Book : KHuli kitab (Pg. 12)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.