raste mein to KHatraat ki sun-gun bhi bahut hai
raste meñ to ḳhatrāt kī sun-gun bhī bahut hai
manzil pe pahuñchne kī hameñ dhun bhī bahut hai
har shahr meñ taaza hai to bas zaḳhm-e-ta.assub
kuchh lazzat-e-nāhaq kā ta.āvun bhī bahut hai
kuchh hāthoñ se kuchh mātoñ se kālak nahīñ jaatī
har chand ki bāzār meñ sābun bhī bahut hai
vo haath tahaffuz kī alāmat jise kahiye
mahsūs ye hotā hai vahī sun bhī bahut hai
ik jism ke mānind haiñ ham log kahīñ hoñ
Thokar se ukhaḌtā hai to nāḳhun bhī bahut hai
ham sher kahā karte haiñ vijdān ke bal par
kuchh logoñ ko zo.am-e-fa.ilātun bhī bahut hai
raste mein to KHatraat ki sun-gun bhi bahut hai
manzil pe pahunchne ki hamein dhun bhi bahut hai
har shahr mein taza hai to bas zaKHm-e-tassub
kuchh lazzat-e-nahaq ka taawun bhi bahut hai
kuchh hathon se kuchh maton se kalak nahin jati
har chand ki bazar mein sabun bhi bahut hai
wo hath tahaffuz ki alamat jise kahiye
mahsus ye hota hai wahi sun bhi bahut hai
ek jism ke manind hain hum log kahin hon
Thokar se ukhaDta hai to naKHun bhi bahut hai
hum sher kaha karte hain wijdan ke bal par
kuchh logon ko zoam-e-failatun bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.