raste sare bhul chuki hun
raste saare bhuul chukī huuñ
apnī zaat kī band galī huuñ
jo hai dil meñ vo hai zabāñ par
ā.īne kī tarah kharī huuñ
dil jo chāhe aql na maane
maiñ bhī kis chakkar meñ paḌī huuñ
patthar barsāte mausam meñ
shīshe se sar Dhak ke chalī huuñ
is pāgal 'nāhīd' ke hāthoñ
kahāñ kahāñ na ḳhvār huī huuñ
raste sare bhul chuki hun
apni zat ki band gali hun
jo hai dil mein wo hai zaban par
aaine ki tarah khari hun
dil jo chahe aql na mane
main bhi kis chakkar mein paDi hun
patthar barsate mausam mein
shishe se sar Dhak ke chali hun
is pagal 'nahid' ke hathon
kahan kahan na KHwar hui hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.