ratjagon ki saltanat tasKHir kar
ratjagoñ kī saltanat tasḳhīr kar
kuchh diye kā naam bhī tahrīr kar
hai hisār-e-zāt ke bāhar shikast
tū mire andar mujhe ta.amīr kar
furqatoñ kā zahr mujh ko pach gayā
gardish-e-daurāñ mirī tauqīr kar
yā badan kī qaid se āzād kar
yā kisī ġham se mujhe zanjīr kar
ḳhvāb āñkhoñ meñ agar rakkhe haiñ tū
phir hathelī par bhī kuchh tahrīr kar
kuchh diye ke dukh sunā mujh ko 'amīr'
kuchh havā ke naam bhī tahrīr kar
ratjagon ki saltanat tasKHir kar
kuchh diye ka nam bhi tahrir kar
hai hisar-e-zat ke bahar shikast
tu mere andar mujhe tamir kar
furqaton ka zahr mujh ko pach gaya
gardish-e-dauran meri tauqir kar
ya badan ki qaid se aazad kar
ya kisi gham se mujhe zanjir kar
KHwab aankhon mein agar rakkhe hain tu
phir hatheli par bhi kuchh tahrir kar
kuchh diye ke dukh suna mujh ko 'amir'
kuchh hawa ke nam bhi tahrir kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.