raunaq-e-bazm-e-suKHan apni jagah
raunaq-e-bazm-e-suKHan apni jagah
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri
raunaq-e-bazm-e-suḳhan apnī jagah
ilm-o-dānish fikr-o-fan apnī jagah
be-niyāz in sab se rahte haiñ shahīd
maqbare ġhusl-o-kafan apnī jagah
baat mandir kī ho yā masjid kī ho
jazba-e-hubb-e-vatan apnī jagah
bā.is-e-taskīn ḳhāmoshī-e-dasht
aur shor-e-anjuman apnī jagah
jānte haiñ haiñ kamīñ meñ un ke sher
mast haiñ phir bhī hiran apnī jagah
vaise to har chiiz meñ Thahrāo hai
bas nahīñ rahtā hai man apnī jagah
ahl-e-haq rahte haiñ ab bhī sar-ba-kaf
aur haiñ dār-o-rasan apnī jagah
bad-gumānī un kī mujh se ab bhī hai
aur merā husn-e-zan apnī jagah
hai havas 'abbād' har-sū jalva-gar
aur mohabbat kā chalan apnī jagah
raunaq-e-bazm-e-suKHan apni jagah
ilm-o-danish fikr-o-fan apni jagah
be-niyaz in sab se rahte hain shahid
maqbare ghusl-o-kafan apni jagah
baat mandir ki ho ya masjid ki ho
jazba-e-hubb-e-watan apni jagah
bais-e-taskin KHamoshi-e-dasht
aur shor-e-anjuman apni jagah
jaante hain hain kamin mein un ke sher
mast hain phir bhi hiran apni jagah
waise to har chiz mein Thahrao hai
bas nahin rahta hai man apni jagah
ahl-e-haq rahte hain ab bhi sar-ba-kaf
aur hain dar-o-rasan apni jagah
bad-gumani un ki mujh se ab bhi hai
aur mera husn-e-zan apni jagah
hai hawas 'abbaad' har-su jalwa-gar
aur mohabbat ka chalan apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.