raunaq-e-kashana-e-dil be-ruKHi ne chhin li
raunaq-e-kashana-e-dil be-ruKHi ne chhin li
Manzoor-ul-Haq Nazir
MORE BYManzoor-ul-Haq Nazir
raunaq-e-kāshāna-e-dil be-ruḳhī ne chhīn lī
zindagī zinda-dilī afsurdagī ne chhīn lī
rāt-din rahtā huuñ maiñ shāna-kash-e-zulf-e-suḳhan
fikr-e-duniyā fikr-e-‘uqbā shā'irī ne chhīn lī
apnī peshānī pe jab qashqa lagāyā shaiḳh ne
sab musalmānī butoñ kī bandagī ne chhīn lī
sādgī bachpan kī thī ik tohfa-e-fitrat magar
sādgī 'umr-e-ravāñ kī puḳhtagī ne chhīn lī
daulat-o-iqbāl kā ab ho gayā sūraj ġhurūb
jo chamak thī zindagī meñ tīrgī ne chhīn lī
dekhtā hai kaun 'nāzir' aaj me’yār-e-ġhazal
ḳhūbī-e-fan bhī gale kī naġhmagī ne chhīn lī
raunaq-e-kashana-e-dil be-ruKHi ne chhin li
zindagi zinda-dili afsurdagi ne chhin li
raat-din rahta hun main shana-kash-e-zulf-e-suKHan
fikr-e-duniya fikr-e-‘uqba sha'iri ne chhin li
apni peshani pe jab qashqa lagaya shaiKH ne
sab musalmani buton ki bandagi ne chhin li
sadgi bachpan ki thi ek tohfa-e-fitrat magar
sadgi 'umr-e-rawan ki puKHtagi ne chhin li
daulat-o-iqbaal ka ab ho gaya suraj ghurub
jo chamak thi zindagi mein tirgi ne chhin li
dekhta hai kaun 'nazir' aaj me’yar-e-ghazal
KHubi-e-fan bhi gale ki naghmagi ne chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.