raunaq tumhaare dam se hai lail-o-nahaar ki
raunaq tumhaare dam se hai lail-o-nahaar ki
Suman Dhingra Duggal
MORE BYSuman Dhingra Duggal
raunaq tumhāre dam se hai lail-o-nahār kī
tum aabrū ho āmad-e-fasl-e-bahār kī
lafzoñ meñ ham bayāñ nahīñ kar pā.eñge kabhī
kaise sahar huī hai shab-e-intizār kī
aa jā ki tere ahd-e-vafā kā bharam rahe
rah jaa.e aabrū bhī mire e'tibār kī
har moḌ par likhā hai mirā haal jān-e-man
kyā kaifiyat batā.ūñ dil-e-be-qarār kī
ham tum se duur rah ke tumhāre haiñ aaj bhī
ham ne to aise riit nibhā.ī hai pyaar kī
ahl-e-chaman kī aañkh se aañsū nikal paḌe
mausam ne ruḳhsatī jo sunā.ī bahār kī
jo sab pe rahm karte haiñ is kā.enāt meñ
rahmat unhīñ pe hotī hai parvardigār kī
un ke baġhair dil kā ye aalam hai ab 'suman'
bujhtī huī huuñ sham.a maiñ jaise mazār kī
raunaq tumhaare dam se hai lail-o-nahaar ki
tum aabru ho aamad-e-fasl-e-bahaar ki
lafzon mein hum bayan nahin kar paenge kabhi
kaise sahar hui hai shab-e-intizar ki
aa ja ki tere ahd-e-wafa ka bharam rahe
rah jae aabru bhi mere e'tibar ki
har moD par likha hai mera haal jaan-e-man
kya kaifiyat bataun dil-e-be-qarar ki
hum tum se dur rah ke tumhaare hain aaj bhi
hum ne to aise rit nibhai hai pyar ki
ahl-e-chaman ki aankh se aansu nikal paDe
mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki
jo sab pe rahm karte hain is kaenat mein
rahmat unhin pe hoti hai parwardigar ki
un ke baghair dil ka ye aalam hai ab 'suman'
bujhti hui hun shama main jaise mazar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.