raunaqon par hain bahaaren tere diwanon se
raunaqoñ par haiñ bahāreñ tire dīvānoñ se
phuul hañste hue nikle haiñ nihāñ-ḳhānoñ se
laakh armānoñ ke ujḌe hue ghar haiñ dil meñ
ye vo bastī hai ki ābād hai vīrānoñ se
lāla-zāroñ meñ jab aatī haiñ bahāreñ saaqī
aag lag jaatī hai zālim tire paimānoñ se
ab koī dair meñ ulfat kā talabgār nahīñ
uTh ga.ī rasm-e-vafā haa.e sanam-ḳhānoñ se
paas aate ga.e jis darja bayābānoñ ke
duur hote ga.e ham aur bayābānoñ se
ab ke hamrāh guzāreñge junūñ kā mausam
dāmanoñ kī ye tamannā hai garebānoñ se
is zamāne ke vo mai-nosh vo badmast haiñ ham
pārsā ho ke nikalte haiñ jo mai-ḳhānoñ se
haa.e kyā chiiz hai kaifiyat-e-soz-e-ulfat
koī pūchhe ye tire soḳhta-sāmānoñ se
phir bahār aa.ī junūñ-ḳhez havā.eñ le kar
phir bulāve mujhe aate haiñ bayābānoñ se
ḳhaak kis mast-e-mohabbat kī hai saaqī in meñ
ki mujhe bū-e-vafā aatī hai paimānoñ se
ġhair kī maut pe vo rote haiñ aur ham 'afsar'
zahr piite haiñ chhalakte hue paimānoñ se
raunaqon par hain bahaaren tere diwanon se
phul hanste hue nikle hain nihan-KHanon se
lakh armanon ke ujDe hue ghar hain dil mein
ye wo basti hai ki aabaad hai viranon se
lala-zaron mein jab aati hain bahaaren saqi
aag lag jati hai zalim tere paimanon se
ab koi dair mein ulfat ka talabgar nahin
uTh gai rasm-e-wafa hae sanam-KHanon se
pas aate gae jis darja bayabanon ke
dur hote gae hum aur bayabanon se
ab ke hamrah guzarenge junun ka mausam
damanon ki ye tamanna hai garebanon se
is zamane ke wo mai-nosh wo badmast hain hum
parsa ho ke nikalte hain jo mai-KHanon se
hae kya chiz hai kaifiyat-e-soz-e-ulfat
koi puchhe ye tere soKHta-samanon se
phir bahaar aai junun-KHez hawaen le kar
phir bulawe mujhe aate hain bayabanon se
KHak kis mast-e-mohabbat ki hai saqi in mein
ki mujhe bu-e-wafa aati hai paimanon se
ghair ki maut pe wo rote hain aur hum 'afsar'
zahr pite hain chhalakte hue paimanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.