raund pae na dalael mere
rauñd paa.e na dalā.el mere
mere dushman bhī the qaa.el mere
saaf dikhtī thī jalan āñkhoñ meñ
phir bhī hoñToñ pe fazā.el mere
ye tahī fikr kuñ.eñ ke meñDak
ye na samjheñge masā.il mere
chhāñv dete the magar raah nahīñ
peḌ the raste meñ haa.el mere
aañkh ab ḳhvāb nahīñ de saktī
raushnī maañg le saa.il mere
jab talak haath tire haath meñ hai
hausle hoñge na zaa.il mere
us ne paas aa ke 'farīhe' bolā
gir ga.ī haath se file mere
raund pae na dalael mere
mere dushman bhi the qael mere
saf dikhti thi jalan aankhon mein
phir bhi honTon pe fazael mere
ye tahi fikr kunen ke meinDak
ye na samjhenge masail mere
chhanw dete the magar rah nahin
peD the raste mein hael mere
aankh ab KHwab nahin de sakti
raushni mang le sail mere
jab talak hath tere hath mein hai
hausle honge na zail mere
us ne pas aa ke 'farihe' bola
gir gai hath se file mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.