raushan dil-e-arif se fuzun hai badan un ka
raushan dil-e-ārif se fuzūñ hai badan un kā
rangīñ hai tabī'at kī tarah pairahan un kā
mahrūm hī rah jaatī hai āġhosh-e-tamannā
sharm aa ke churā letī hai saarā badan un kā
jin logoñ ne dil meñ tire ghar apnā kiyā hai
bāhar hai do-ālam se mirī jaañ vatan un kā
har baat meñ vo chaal kiyā karte haiñ mujh se
ulfat na nibhegī jo yahī hai chalan un kā
aariz se ġharaz ham ko anādil ko hai gul se
hai kūcha-e-māshūq hamārā chaman un kā
hai saaf nigāhoñ se 'ayāñ josh-e-javānī
āñkhoñ se sañbhaltā nahīñ mastāna-pan un kā
ye sharm ke mā'nī haiñ hayā kahte haiñ is ko
āġhosh-e-tasavvur meñ na aayā badan un kā
ġhairoñ hī pe chaltā hai jo ab naaz kā ḳhanjar
kyuuñ biich meñ laayā thā mujhe bāñkpan un kā
ġhairoñ ne kabhī paak nazar se nahīñ dekhā
vo us ko na samjheñ to ye hai husn-e-zan un kā
is zulf-o-ruḳh-o-lab pe unheñ kyuuñ na ho naḳhvat
tātār hai un kā halab un kā yaman un kā
allāh re fareb-e-nazar-e-chashm-e-fusūñ-sāz
banda hai har ik shaiḳh har ik barhaman un kā
aayā jo nazar husn-e-ḳhudā-dād kā jalva
but ban gayā muñh dekh ke har barhaman un kā
marqad meñ utārā hameñ tevrī ko chaḌhā kar
ham mar bhī ga.e par na chhuTā bāñkpan un kā
guzrī huī bāteñ na mujhe yaad dilāo
ab zikr hī jaane do tum ai jān-e-man un kā
dilchasp hī aafat hai qayāmat hai ġhazab hai
baat un kī adā un kī qad un kā chalan un kā
raushan dil-e-arif se fuzun hai badan un ka
rangin hai tabi'at ki tarah pairahan un ka
mahrum hi rah jati hai aaghosh-e-tamanna
sharm aa ke chura leti hai sara badan un ka
jin logon ne dil mein tere ghar apna kiya hai
bahar hai do-alam se meri jaan watan un ka
har baat mein wo chaal kiya karte hain mujh se
ulfat na nibhegi jo yahi hai chalan un ka
aariz se gharaz hum ko anadil ko hai gul se
hai kucha-e-mashuq hamara chaman un ka
hai saf nigahon se 'ayan josh-e-jawani
aankhon se sanbhalta nahin mastana-pan un ka
ye sharm ke ma'ni hain haya kahte hain is ko
aaghosh-e-tasawwur mein na aaya badan un ka
ghairon hi pe chalta hai jo ab naz ka KHanjar
kyun bich mein laya tha mujhe bankpan un ka
ghairon ne kabhi pak nazar se nahin dekha
wo us ko na samjhen to ye hai husn-e-zan un ka
is zulf-o-ruKH-o-lab pe unhen kyun na ho naKHwat
tatar hai un ka halab un ka yaman un ka
allah re fareb-e-nazar-e-chashm-e-fusun-saz
banda hai har ek shaiKH har ek barhaman un ka
aaya jo nazar husn-e-KHuda-dad ka jalwa
but ban gaya munh dekh ke har barhaman un ka
marqad mein utara hamein tewri ko chaDha kar
hum mar bhi gae par na chhuTa bankpan un ka
guzri hui baaten na mujhe yaad dilao
ab zikr hi jaane do tum ai jaan-e-man un ka
dilchasp hi aafat hai qayamat hai ghazab hai
baat un ki ada un ki qad un ka chalan un ka
- Book : Kulliyat-e-Akbar (Pg. 97)
- Author : Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.