raushan wo dil pe mere dil-azar se hua
raushan vo dil pe mere dil-āzār se huā
ik ma.arka jo hairat o zañgār se huā
jab naḳhl-e-ārzū pe ḳhizāñ ibtilā huī
maiñ dast-zad savābit-o-sayyār se huā
ik sham.a sard thī jo mujhe vā-gudāz thī
aur ik sharaf ki ḳhāna-e-mismār se huā
bai.at thī mere dast-e-burīda se ḳhisht-o-ḳhāk
us pe subuk maiñ sāhab-e-dīvār se huā
paivast the zamīn se afa.ā shajar se tiir
juuñ hī judā maiñ shām-e-azā-dār se huā
raushan wo dil pe mere dil-azar se hua
ek marka jo hairat o zangar se hua
jab naKHl-e-arzu pe KHizan ibtila hui
main dast-zad sawabit-o-sayyar se hua
ek shama sard thi jo mujhe wa-gudaz thi
aur ek sharaf ki KHana-e-mismar se hua
baiat thi mere dast-e-burida se KHisht-o-KHak
us pe subuk main sahab-e-diwar se hua
paiwast the zamin se afaa shajar se tir
jun hi juda main sham-e-aza-dar se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.