raushni ajnabi si lagti hai
raushnī ajnabī sī lagtī hai
aañkh meñ kirkirī sī lagtī hai
vo kahīñ duur hañs rahī hogī
phuul meñ tāzgī sī lagtī hai
us ne kapḌe vahāñ sukhā.e the
vo jahāñ raushnī sī lagtī hai
os kī buuñd sabz patte par
ek nannhī parī sī lagtī hai
tere bin kuchh kamī nahīñ lekin
phir bhī koī kamī sī lagtī hai
raat bārish ne baal khole the
lawn meñ kuchh namī sī lagtī hai
raushni ajnabi si lagti hai
aankh mein kirkiri si lagti hai
wo kahin dur hans rahi hogi
phul mein tazgi si lagti hai
us ne kapDe wahan sukhae the
wo jahan raushni si lagti hai
os ki bund sabz patte par
ek nannhi pari si lagti hai
tere bin kuchh kami nahin lekin
phir bhi koi kami si lagti hai
raat barish ne baal khole the
lawn mein kuchh nami si lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.