raushni aur andheron ke safar ka jadu
raushnī aur añdheroñ ke safar kā jaadū
dekhtā rahtā huuñ maiñ shām-o-sahar kā jaadū
rahbar-o-rāhzan-o-rāhguzar kā jaadū
kitne jaadū kā tamāshā hai safar kā jaadū
so ga.e chāñd sitāre to jagā hai sūraj
kar gayā raat ko din pichhle pahar kā jaadū
āsmāñ par nahīñ kaam aayā karishma us kā
ho gayā rū-ba-zamīñ shams-o-qamar kā jaadū
ḳhushk ho jaatā hai dariyā bhī asar se us ke
tum ne dekhā hī nahīñ dīda-e-tar kā jaadū
aao mil jaa.eñ kabhī phir na bichhaḌne ke liye
ham bhī dikhlā.eñ zarā shīr-o-shakar kā jaadū
raushni aur andheron ke safar ka jadu
dekhta rahta hun main sham-o-sahar ka jadu
rahbar-o-rahzan-o-rahguzar ka jadu
kitne jadu ka tamasha hai safar ka jadu
so gae chand sitare to jaga hai suraj
kar gaya raat ko din pichhle pahar ka jadu
aasman par nahin kaam aaya karishma us ka
ho gaya ru-ba-zamin shams-o-qamar ka jadu
KHushk ho jata hai dariya bhi asar se us ke
tum ne dekha hi nahin dida-e-tar ka jadu
aao mil jaen kabhi phir na bichhaDne ke liye
hum bhi dikhlaen zara shir-o-shakar ka jadu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.