raushni ban kar bikharne ke liye
raushnī ban kar bikharne ke liye
zindagī hai 'ishq karne ke liye
uñgliyoñ ko ham qalam karte rahe
chāhatoñ meñ rang bharne ke liye
toḌ Daalā hai ḳhud apne aap ko
ek ghar ta.amīr karne ke liye
aa.ine meñ rū-ba-rū thā ajnabī
aaj jab sochā sañvarne ke liye
maiñ vazīfa paḌh rahī huuñ rāt-din
aap ke dil meñ utarne ke liye
jāntī huuñ ik bahāna chāhiye
aap ko mujh se mukarne ke liye
raushni ban kar bikharne ke liye
zindagi hai 'ishq karne ke liye
ungliyon ko hum qalam karte rahe
chahaton mein rang bharne ke liye
toD Dala hai KHud apne aap ko
ek ghar tamir karne ke liye
aaine mein ru-ba-ru tha ajnabi
aaj jab socha sanwarne ke liye
main wazifa paDh rahi hun raat-din
aap ke dil mein utarne ke liye
jaanti hun ek bahana chahiye
aap ko mujh se mukarne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.