raushni chaho to mehr-o-mah-o-aKHtar socho
raushni chaho to mehr-o-mah-o-aKHtar socho
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
raushnī chāho to mehr-o-mah-o-aḳhtar socho
ek qatre kī talab ho to samundar socho
kaise kī jaa.e rafū amn kī chādar socho
sochne vaalo zarā socho mukarrar socho
jis kā saaya hai tabāhī kī alāmat ai dost
us parinde ke katar pāoge kyā par socho
sīm-o-zar ke liye īmān luTāne vaalo
saath kyā le ke gayā apne sikandar socho
kaise duniyā ko mayassar hoñ uḳhuvvat ke samar
naḳhl ulfat kā ho kis tarah tanāvar socho
jis se aatī thī ḳhulūs aur vafā kī ḳhushbū
kaise pāmāl huā hai vo gul-e-tar socho
apne aḳhlāq se maġhlūb karo dushman ko
tiir socho na tabar socho na ḳhanjar socho
jis ne har gaam pe duniyā ko masarrat dī hai
aaj kyūñkar hai shikan us kī jabīñ par socho
jis kī peshānī pe manzil kā pata likkhā hai
Thokareñ kis liye khātā hai vo patthar socho
apnī ġhazloñ kā baḌhāne ke liye husn 'shafī.a'
fikr pākīza rakho lafz munavvar socho
raushni chaho to mehr-o-mah-o-aKHtar socho
ek qatre ki talab ho to samundar socho
kaise ki jae rafu amn ki chadar socho
sochne walo zara socho mukarrar socho
jis ka saya hai tabahi ki alamat ai dost
us parinde ke katar paoge kya par socho
sim-o-zar ke liye iman luTane walo
sath kya le ke gaya apne sikandar socho
kaise duniya ko mayassar hon uKHuwwat ke samar
naKHl ulfat ka ho kis tarah tanawar socho
jis se aati thi KHulus aur wafa ki KHushbu
kaise pamal hua hai wo gul-e-tar socho
apne aKHlaq se maghlub karo dushman ko
tir socho na tabar socho na KHanjar socho
jis ne har gam pe duniya ko masarrat di hai
aaj kyunkar hai shikan us ki jabin par socho
jis ki peshani pe manzil ka pata likkha hai
Thokaren kis liye khata hai wo patthar socho
apni ghazlon ka baDhane ke liye husn 'shafia'
fikr pakiza rakho lafz munawwar socho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.