raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum
raushnī hasb-e-zarūrat bhī nahīñ māñgte ham
raat se itnī suhulat bhī nahīñ māñgte ham
dushman-e-shahr ko aage nahīñ baḌhne dete
aur koī tamġha-e-jur.at bhī nahīñ māñgte ham
sañg ko shīsha banāne kā hunar jānte haiñ
aur is kaam kī ujrat bhī nahīñ māñgte ham
kisī dīvār ke saa.e meñ Thahar lene de
dhuup se itnī ri.āyat bhī nahīñ māñgte ham
saarī dastāroñ pe dhabbe haiñ lahū ke 'az.har'
aise kuufe meñ to izzat bhī nahīñ māñgte ham
raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum
raat se itni suhulat bhi nahin mangte hum
dushman-e-shahr ko aage nahin baDhne dete
aur koi tamgha-e-jurat bhi nahin mangte hum
sang ko shisha banane ka hunar jaante hain
aur is kaam ki ujrat bhi nahin mangte hum
kisi diwar ke sae mein Thahar lene de
dhup se itni riayat bhi nahin mangte hum
sari dastaron pe dhabbe hain lahu ke 'azhar'
aise kufe mein to izzat bhi nahin mangte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.