raushni hogi ye ummid jagae rakhiye
raushnī hogī ye ummīd jagā.e rakhiye
ek chingārī to dil meñ bhī banā.e rakhiye
tujh se chhūTā to kisī aur kā mehmāñ hogā
is liye dard ko siina meñ dabā.e rakhiye
aap kī shakl bhī pahchān sake ā.īna
aisī sūrat to bahar-hāl banā.e rakhiye
shart sāhil kī ye hotī hī kisī tūfāñ meñ
Thaur jab tak na mile ḳhud ko bahā.e rakhiye
aaj ke daur meñ jiine kī kalā hai pyāre
aap jiine ke ka.ī Dhang banā.e rakhiye
raushni hogi ye ummid jagae rakhiye
ek chingari to dil mein bhi banae rakhiye
tujh se chhuTa to kisi aur ka mehman hoga
is liye dard ko sina mein dabae rakhiye
aap ki shakl bhi pahchan sake aaina
aisi surat to bahar-haal banae rakhiye
shart sahil ki ye hoti hi kisi tufan mein
Thaur jab tak na mile KHud ko bahae rakhiye
aaj ke daur mein jine ki kala hai pyare
aap jine ke kai Dhang banae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.