raushnī hone lagī hai mujh meñ
koī shai TuuT rahī hai mujh meñ
mere chehre se ayaañ kuchh bhī nahīñ
ye kamī hai to kamī hai mujh meñ
baat ye hai ki bayāñ kaise karūñ
ek aurat bhī chhupī hai mujh meñ
ab kisī haath meñ patthar bhī nahīñ
aur ik nekī bachī hai mujh meñ
bhīge lafzoñ kī zarūrat kyā thī
aisī kyā aag lagī hai mujh meñ
raushni hone lagi hai mujh mein
koi shai TuT rahi hai mujh mein
mere chehre se ayan kuchh bhi nahin
ye kami hai to kami hai mujh mein
baat ye hai ki bayan kaise karun
ek aurat bhi chhupi hai mujh mein
ab kisi hath mein patthar bhi nahin
aur ek neki bachi hai mujh mein
bhige lafzon ki zarurat kya thi
aisi kya aag lagi hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.