raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh
raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh
Sadiya Safdar Saadi
MORE BYSadiya Safdar Saadi
raushnī jab māñgte haiñ ye diye kī lau se pūchh
kyoñ añdhere kāñpte haiñ ye diye kī lau se pūchh
ishq karnā hai to pahle ishq ke ādāb siikh
raat kaise kāTte haiñ ye diye kī lau se pūchh
kaun sā ġham hai ki yūñhī chāñd taare mere saath
raat kaise jāgte haiñ ye diye kī lau se pūchh
ham shab-e-tanhā.ī meñ karte haiñ apnā hī tavāf
saa.e kaise bhāgte haiñ ye diye kī lau se pūchh
ek ik lamha jalā kar ḳhud ko tere hijr meñ
vaqt kaise māpte haiñ ye diye kī lau se pūchh
dūsroñ ke vāste jiite haiñ kaise 'sa.adiya'
ḳhud ko kaise mārte haiñ ye diye kī lau se pūchh
raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh
kyon andhere kanpte hain ye diye ki lau se puchh
ishq karna hai to pahle ishq ke aadab sikh
raat kaise kaTte hain ye diye ki lau se puchh
kaun sa gham hai ki yunhi chand tare mere sath
raat kaise jagte hain ye diye ki lau se puchh
hum shab-e-tanhai mein karte hain apna hi tawaf
sae kaise bhagte hain ye diye ki lau se puchh
ek ek lamha jala kar KHud ko tere hijr mein
waqt kaise mapte hain ye diye ki lau se puchh
dusron ke waste jite hain kaise 'sadiya'
KHud ko kaise marte hain ye diye ki lau se puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.