raushni ka guzar makan mein kya
raushnī kā guzar makān meñ kyā
koī sūraj hai sā.ebān meñ kyā
jhuuT par jhuuT bole jaate ho
kuchh kamī rah ga.ī hai shaan meñ kyā
zikr merā zarūr aa.egā
varna rakkhā hai dāstān meñ kyā
jo muḳhālif the saath haiñ mere
kuchh kashish hai mirī zabān meñ kyā
thak ga.e haiñ pukārne vaale
koī rahtā nahīñ makān meñ kyā
bolnā hai to zor se bolo
phūñkte ho hamāre kaan meñ kyā
raushni ka guzar makan mein kya
koi suraj hai saeban mein kya
jhuT par jhuT bole jate ho
kuchh kami rah gai hai shan mein kya
zikr mera zarur aaega
warna rakkha hai dastan mein kya
jo muKHalif the sath hain mere
kuchh kashish hai meri zaban mein kya
thak gae hain pukarne wale
koi rahta nahin makan mein kya
bolna hai to zor se bolo
phunkte ho hamare kan mein kya
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 38)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.